Tuesday, December 23, 2008

Nahi Manaunga Christmas

Nahi manaaunga Christmas
bahut hua ab bas!
apne andar gusse ki aanch ko pakne doonga,
paani nahi daaloonga, sulagne doonga
iss baar kisi ko kehne ka mauka nahi doonga ki,
'Indian hain...yaaddaasht kamzor hai...bahal jaayeinge-
antarrashtriya cricket se, Yashraj films ki ticket se
ya phir Eid se, Christmas se'...hamaare jhelne ki khatm ho chuki had
bahut hua, ab bas!

nahi manaaunga Christmas
kaan khol ke sun le Jesus.
chilla ke is liye keh raha hoon
ki lagta hai tu behra ho gaya hai,
do hazaar saalon se bhi zyaada swarg mein rahkar
aaraampasand aur boodha ho gaya hai.
Tujhe dhamaakon ki awaaz ab sunaai hi nahi deti,
hamaare riste hue yeh ghaav...hamaari peeda...hamaari vedna
dikhaai hi nahi deti!
naseeb maan, heaven mein recession nahi hota,
nahi toh teri naukri toh gayi thi...
are kab taknaam ki khaayega, performance toh de,
tere bas mein nahi ab kuchh toh chhod gaddi,
doosre ko mauka toh de...

ab nahi aayega dharti pe toh kab aayega,
ab jab tak tu nahi aayega
nahi manaaunga Christmas,
bahut hua ab bas!