Friday, January 23, 2009

Jai Ho Rehman

Slumdog millionaire ke music ke liye A.R. Rehman ko British Academy of Film and Telivision Arts mein nominate kiya gaya hai….A.R.Rehman ko milakar iss film ko gyarah categories mein nomination haasil hua hai…Bafta ke liye iss nomination ke saath hi Golden Globe award jeet kar abhi – abhi laute A.R.Rehman ko yeh lagaataar doosri uplabhdhi haasil hui hai … aaiye daalte hain A.R.Rehman ki uplabdhion par ek nazar…

Slumdog millionaire film ka yehi wo song hai jisne Golden Globe award jeet kar aur Bafta ke liye nominate hokar Indian music ka loha poori duniya se manwaaya hai …. 1980 ke dashak mein Madras ke Nemesis Avenue naam ke ek rock group mein Dilip naam ka ek ladka thoda western, thoda folk, thoda Indian classical music ke fusion se ek naye sur ko saadh raha tha. Uski yeh saadhna Nabbe ke dashak mein tab rang laayi jab Maniratnam ki film Roza release hui…aur iske sangeet ne saalon se, ek hi leek par chali aa rahi mukhda- antara-mukhda ki parampara ko tod diya…aur Indian film industry ne mausiki ki duniya mein ek vilakshan pratibha ko pehchana …wo Dilip A.R. Rehman ban ke saamne aaya …

Roza ke sangeet ne na keval Bharat mein dhoom machaaya balki aage chal kar antarrashtriya star par bhi -dil hai chhota sa - gaane ko shataabdi ke sarvshreshth geeton mein se ek maana gaya…Iske baad A.R. Rehman ke sangeet ke aage awards chhote nazar aane lage…chaar baar National Award aur gyarah baar Filmfare Award aur ab Golden Globe jeet chuke iss“ Madras ke Motzart “ ne apne sangeet mein har star par experiment kiya. DIL SE ke chhaiya- chhaiya gaane mein seven stages of Sufism ko mausiki mein dhaal kar duniya ko bataa diya ki ve kitni door ke safar ke raahi hain…

Hamesha fresh voice aur alag sound track ki khoj mein rehne waale A.R. Rehman ne iss baat ko bhi jhhuthla diya ki Bharat mein sabse popular music filmi music hai…Unhone filmo se hath ke bhi jo kaam kiya , uska jaadoo logon ke sar chhadh kar bola…chhahe wo ma tujhe salaam ho ya kisi mobile service ka signature tune… humari shubhkaamnaayein yahi hai ki A.R.Rehman Bafta mein apne sur ki dhaak jama kar ek hafte baad Oscar ke liye bhi nominate hon…aur wahaan bhi inki jai ho!

Slumdog Millionaire in Oscar

Slumdog Millionaire ki kaamyabi ka safar aaj ek mahatvapurn mukaam par pahunch gaya. Iss film ko aaj das categories mein Oscar ke liye bhi naamaankan haasil ho gaya…aaiye daalte hain iss khabar par ek nazar…

Pichhle hafte Golden Globe award jeetne ke baad aur Bafta ke liye nominate hone ke saath hi Slumdog millionaire ko Oscar ke liye bhi namaankan haasil hone ki ummeed badh gayi thi…aur aaj iss film ne Best film, best director, best music aur song sahit das shreniyon mein nominate ho kar Bhartiya cine premiyon ki ummeed ko badha diya hai. A.R.Rehman ko Jai Ho song ke liye nominate kiya gaya hai iske saath hi do aur categories mein unhe nomination mila hai . iss tarah Oscar mein teen-teen categories mein nomination haasil karne waale ve pehle bhartiya ban gaye hain… Rehaman pehle bhi Bombay dreams jaise international projects kar chuke hain …unka sangeet antarrashtriya star par pehle bhi saraaha jaata raha hai, lekin bade international awards ko jeetne ka silsila ab shuru hua hai.ab kam se kam unka ek category mein Oscar jeetna lagbhag pakka maana jar aha hai
(Jai ho song)
Iss gaane ke lyric ko bhi nominate kiya gaya hai. Iss gaane ko shabd, mashhoor geetkaar Gulzaar ne diya hai. Satrah baar filmfare awards aur ek baar national award jeet chuke Padma bhushan Gulzar ke liye Oscar mein namankan haasil karne ka yeh pehla mauka hai. Iss film mein abhinay kar rahe Irfan khan bhi pehle se hi The Warrior, Amighty heart, The Darjeeling Limited jaisi filmon se apni antarrashtriya pehchaan bana chuke hain…
(Irrfan khan ka phono)
Arse se bhartiyon ko kisi bhartiya ke haath Oscar dekhne ka intezaar raha hai. AB shaayad intezaar ka waqt khatm hota dikhaayi de raha hai. ‘Jai ho’
News desk tv9mumbai

Slumdog Millionaire se pehle aur baad

Slumdog Millionaire aaj release ho gayi. A.R.Rehman ke music se saji iss film ko Oscar mein 10-10 categories mein namaankan haasil hone se Bhartiyon mein khaasa utsaah dekha ja
raha hai. Utsaah issliye bhi jyaada hai kyonki A.R.Rehman ko kam se kam ek award milna toh lagbhag tai maana ja raha hai. Yeh khush hone ka samay hai hamein khush hona bhi chahiye. Lekin saath hi kuchh sawaal hain jinse hum muh nahi mod sakte.

Kya isse pehle A.R.Rehman ne behtar sangeet nahi diya hai? Kya Slumdog Millionaire mein unhone ab tak ka sarvshreshth sangeet diya hai? Kya Naya Daur ,kagaz ke phool apne daur mein kisi kaagzi antarrashtriya award ke laayak bhi nahi thi? Kya Rang de basanti aur lage raho Munnabhai ko bhi isi tarah se antarrashtriya star par hype nahi milna chahiye tha. Kyon Lagaan jaisi filmon ko iske liye itni mashakkat karni padti hai…aisi filmein kya sirf isliye pichhad jaati rahi hain kyonki inhe Danny Boyle aur Richard Attonbourough jaise kisi angrej ne direct nahi kiya. Satyajit Ray jaisi hasti ko bhi marne ke baad kyon special Oscar jaise aspasht category ke liye award thamaya jaata hai…aur phir halaanki iss par kaafi kuchh kaha ja chuka hai lekin sawaal apni jagah kaayam hai ki Oscar ke laayak Bharat mein garibi ke alawa koi aur subject nahi?
Azaadi se pehle samraajyavaadiyon ne ‘White men’s burden theory’ di thi , jismein maana jaata tha ki Bhartiya apne pair par khade hone laayak nahi hain inhein hamein train karna padega. Kya aisa nahi lagta ki Neo Imperialism ke iss daur mein pashchimi deshon dwara yeh kehne ki koshish ki ja rahi ho ki Indian film Industry mein sambhaavnaayein toh hain lekin unhe sahi dhang se kaise taraasha jaaye wo hum hi behtar tarike se bata sakte hain. …sawaal kai hain…kyon 1994 se bhartiya ladkiyon ke liye Miss Universe aur miss world ka khitab jeetna aasaan ho gaya? Hum sab jaante hain ki Globaligation ke age mein cosmetics industries mein multinational companies ko Bharat ke bazaar ko exploit karna tha…kya yeh sahi nahi ki ab videshi companiyon ka dhyaan bharat ke entertainment bazaar par pada hai

Slumdog Millionaire hi nahihaal hi mein release hui Chandni Chauk to China se lekar aanewaali kam se kam 10 se jyaada filmon mein Warner Brothers jaisi videshi companiyaan apne paise lagaa rahi hain…aur yahi wo tathya hai jiske liye ab bollywood se judi hastiyon ko naam bhi mil raha hai aur daam bhi…varna bhartiya cinema se jude kaabil log pehle bhi they aur aaj bhi hain.

Wednesday, January 21, 2009

Obama aur Bharat

Aaiye thoda aanklan karein ki Obama ki taajposhi mein hamaare liye kya achchha hai aur kya bura. Sabse pehle raajnitik drishti se dekhein toh Bush ne Bharat ko jitna khush kiya shaayad hi Obama kar paayein. Unhone toh Mumbai ataack ke baad Bharat ko ek tarah se khuli chhoot de di thi ki Bharat apni surakhsha ke liye jo chaahe wo kar sakta hai. Bharat ne toh samyam dikhaaya lekin America ke iss transition phase ka Israel ne khoob faayda uthaaya. Wahin Obama ki taajposhi ke teen chaar dinon pehle hi Pakistan ko aarthik madad teenguni jyaada dene ki baat keh di gayi. Halaanki unhone yeh bhi kaha ki yeh isspar nirbhar karega ki Pakistan aatankvaad ke mudde par kitna imaandaar hai lekin saath hi Pakistan ke iss stand ka samarthan kiya ki south asia mein aatankvaad ki samasya poori tarah tabhi sulajh sakti hai jab Jammu- Kashmir ka masla hal ho…aur America iss par nazar rakhega. Jabki Bharat ka stand yeh hai ki yeh Bharat ka andruni maamla hai. Isspar kisi ko bhi bolne ka haq nahi hai. Shimla Agreement yahi kehta hai. Bharat ke paksha mein ek baat jaati hai. Unki team mein Sanjay Gupta jaise Bhartiya aur Hillary Clinton jaisi Bharat ke prati jhukaav rakhne waali mahila hai.
Aarthik drishti se dekhein toh Obama ne saaf kar diya hai ki keval ammeron ka bhala soch kar kaam nahi chalnewaala. Mandi se nipatne ke liye ve sakht kadam utha sakte hain. Yaani aam amerikiyon ko rozgaar uplabdh karwaane ke liye wo outsourcing par lagaam lagaa sakte hain. Yeh Bharat ke BPO aur IT sectors ke liye kaafi bure sanket hain.
Samaajik- sanskritik drishti se dekha jaaye toh Obama ne saaf kaha hai sirf taakat se kaam nahi chalega virodhiyon se bhi samvaad karne ki zaroorat hai…Virodhi kaun hain? Ghaur karne waali baat hai…saalon se America ke think tank Samual Huttington aur Fransis Fukuyama rahe hain…jinhone cultural conflict ki theory di hai. Inke anusaar aane waale saalon mein jo sangharsh hoga wo deshon ke beech nahi sabhyata aur barbarta ke beech hoga. Yahaan yeh kehne ki zaroorat nahi yahaan barbar hone ka matlab Islaamic nations aur Islamic thoughts se hai. Yahi vajah hai ki western media Islam ko lagataar terrorism se jodta aa raha hai. Par ab yeh theory shaayad kaam nahi karegi. Obama ne pehli baar Hindu dharm ka bhi naam liya aur kaha sabne milkar America ko banaya hai, isliye America Isaai, muslim, yahudi, Hindu aur yahaan tak ki naastikon ka bhi hai.
Obama democrat hain. Yeh party hamesha se hi Bhartiyon ki swaabhaavik roop se pehli pasand rahi hai. Lekin Bush ne Republican hokar bhi yeh dhaara badal di thi. Apni vidaayi ke samay bhi unhone apni sabse badi uplabdhi Bharat se rishte aur nuclear deal ko maani. Ab dekhna yeh hai ki Obama is dhaara ko naya flow dete hain ya isspar baandh banaate hain.

Sheer Man Power


I find it amazing that this photo, taken so many years ago, actually still exists! And now, someone has put it online for all of us to see. This INCREDIBLE picture was taken in 1918.It is 18,000 men preparing for war in a training camp at Camp Dodge , in Iowa . EIGHTEEN THOUSAND MEN!!!!!
FACTS: Base to Shoulder: 150 feet Right Arm: 340 feet Widest part of arm holding torch: 12 1/2 feet Right thumb: 35 feet Thickest part of body: 29 feet Left hand length: 30 feet Face: 60 feet Nose: 21 feet Longest spike of head piece: 70 feet Torch and flame combined: 980 feet Number of men in flame of torch: 12,000 Number of men in torch: 2,800 Number of men in right arm: 1,200 Number of men in body, head and balance of figure only: 2,000Total men: 18,000

2 Rupaye......

21st jan 09

Har roj ki tarah mai ghar Se Office ki aur apni bike se ja raha tha...ek signal pe ek bhikhari mere karib aya..yahi 10 -12 sal ka hoga wo., usake hath mai ek thali thi jisme Maa Sherawali ki tasveer thi. chehere pe aise bhav ki kisi ko bhi taras aa jaye....

"JAY MATA DI" , Wo bade vyakul swar mai bola...."Uncle kuch do na" aur usane thali aage badhae...

Main bacchoko bheekh dene ke paksha mai bilkul bhi nahi hun, helmet utara aur Gyan dena shuru....

"Abbe teri to .....Itni kam umra mai bheekh mangata hai...kuch kam karo, Padhae karo"

Usane apradh bodh najar se meri aur dekha... Aur dekhta hi reh gaya... mai pareshan ho gaya jab wo meri jeans khichne laga....."sab do na.....pls".... usane fir kaha....

Main dang reh gaya...bheek du ya na du iss peshopash mai pad gaya....aur jab maine apne jeb se 2 rupaye nikale , Wo ja chuka tha.....

2 rupaye ke sikkke ko mai bas dekhta hi reh gaya... aur Signal green ho gaya...helmet pehena aur chal paada........

Waise kal hi maine "Slum dog Millionaire" film dekhi, usame jo mumbai ke baggers ki gatha batai hai wo Ek had tak sahi hai.....

Darasal garibi aur bhukmari ke sarganah hai Rajneta jinki badoulat in bhikariyon ke boss kai garib aur anaath bachonka shoshan karte hai...agar ham inhe paise de to ye paise in bacchon ke Boss ke jariye Aakhir Neta Aur sarkari Aala Afsaron tak pahunch jate hai...aakhir Dhanda ka sawal jo hai......
matlab saaf hai janta ko bhavnaon ke chakrvuyh me fasaya ja raha hai....lekin sawal inn bachon ke bhavishya ka hai jinhe kamai ka sirf ek jariya banakar inka sharirik Aur mansik balatkar kiya jata hai...jiski manzil ya to maut hai ya fir mafia hai.......

Aisho Aaram ke chalte logon ki soch dhundhali ho gayi hai,Ab log Aasan rasta Apnate hai .....wo kehete hai na ki......" Bheekh dete hai yaha par log majboori dekh kar" Aur Maine office aa gaya hun .. kam ka waqt ho chuka hai...chalo bye bye.....