Friday, February 27, 2009

WAQT Nahi

Din… Raat… Doobti Duniya Mein…
Zindagi Ke Liye ‘WAQT’ Nahi…

Maa Ki Lorri Ka… Ehsas Too Hai…
Par Maa Ko, Maa Kehney Ka ‘WAQT’ Nahi…

Aankhon Mein Hai Neend Baddi…
Par Soney, Ko ‘WAQT’ Nahi…

Dil Hai, Ghamo Se Bhara Hua…
Par Roney, Ko Bhi ‘WAQT’ Nahi…

Tu Hee Bata Aye Zindagi…
Iss Zindagi Ka Kya Hoga…
Ki Har Pal Jeeney Walon Ko…
Jeene Ka Hee ‘WAQT’ Nahi…

Wednesday, February 25, 2009

slumdog ke oscar se kush garibi

dear friends,

Slumdog ko ek nahi 8 oscar se nawaza gaya.... jisme do bhartiyo ko oscar mile... yaani ki desh ko 3 oscar, do A.R. Rahmaan aur ek purkutti ko aur baaki 6 oscar desh k nange bhookhe zindagi se joojhti garibi ko.... yaani ki smile pinki documentry me bhi garibi ne oscar dilaya.... kya garibi hi oscar ki hero hai.... agar aisa hota to lagaan aur mother india bhi garibi k liye oscar se nawazi jaati... jaha oscar milne se logo me khishi hai wahi kahi na kahi bhartiya cinema me western duniya ko samajhne me kami jaroor najar aa rahi hai ..... shaayad bhartiya directoro ko filme banani nahi aati aisi filme jo oscar jeete.... slumdog ka director, producer firangi hai shayaaad hindustaan ko samajhna wo achchi tarah jaanta hai isiliye aapko oscar dila diya.... yaa fir jis tarah se hum paschimi sanskrit me apne aap ko dhaal rahe hai , shaayas paschimi samman ki lalach hume itna utsuk kar dete hai ki hum oscar paane ke liye tadapte hai, shayaad humari filme apni sabhyata ko sahi maayane me nahi darsha paate.....

aage apke response ka intzaar ...... phir aage likna choonga.....

do reply