Friday, December 12, 2008
Desh ke system ka pyramid
Apne desh mein jo sabse pratibhashali hote hain ve 12th karne ke baad IIT jaise sansthanon se engineering vagairah ki padhaai karne chale jaate hain. Jo inse kam pratibhashaali hote hain woh unmein compete nahi kar paane ke kaaran majboori mein graduation kar ke doosre competitive exams aur MBA aadi ke dwara IAS aur aise hi anya officers ya CEOs bante hain. Desh ke engineers desh ke nirmaan ke liye jo bridges, roads, metro rail etc. ke projects banate hain, ye officers unki jaanch karte hain aur unhe pass karte hain. Inse jo kam pratibhashaali hote hain ve MA, PHD ya LAW karte hain ya patrakaar bante hain. Ye gyaan, kaanoon, jantantrik prakriya jaise dando se vikaas ke kaamon mein rore atkaate hain. Jo inse bhi gaye- gujre hote hain ve neta ban jaate hain, jo thoda bahut vikaas ka kaam hua toh laal fite ko kainchi se kaatkar unka inaugration karne pahunch jaate hain. Aapko aashcharya hoga ki desh mein inse bhi gaye-bite log hote hain, jo bhai ya don ya aatanki ban jaate hain aur netaon ko ungliyon pe nachaate hain. Desh aise hi chalta hai...Pyramid ka sabse nichla bhaag sabhi upar waalon ka bojh ab tak nahi dhota toh yeh pyramid kab ka sad kar gir chuka hota. Is tarah ke examples aapko desh mein har jagah dikhaai de jaayeinge.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
nice one
Post a Comment