Thursday, March 19, 2009

SCRIPT WRITER HONE KA MATLAB

Script writer Hone ka Matlab
Script writer koi bhi ban sakta hai basharte who director banne ki yogyata rakhta ho, producer banne ki yogyata rakhta ho, actor banne ki yogyata rakhta ho agar iske saath thoda bahut likhna bhi aata ho toh script writer banne ke liye yeh ek additional quality maani jaati hai…shows ya programmes ki safalta mein iska khaas haath nahi maana jaata lekin failure ke liye script hi sabse bada kaaran bataaya jaata hai. Script likhne ke badle script writer ko kya milta hai?...thoda –bahut mehantaana … Jis tarah kisi insaan ke sharir ki haddiyaan aur rooh toh dikhti nahi…iske upar jo chamdi chadhi hui rehti hai, vo dikhaai deti hai…aisa hi programmes aur shows ke saath hota hai…yahaan chamdi chadhaane waale producers aur directors hote hain…/
…Toh script writer koi bhi ban sakta hai, issliye aankde bataate hain ki jyaadatar programms aur shows aundhe muh ludhak jaate hain … ismein kisi ko hairat nahi hona chahiye. script writer ko aur kya milta hai?... agar director ya producer rehamdil hai to kabhi- kabhaar credit list mein naam …Vaise use naam dene ki zaroorat hi kya hai?...vo karta hi kya hai?...kisi bhi naye show ke pehle do-teen episodes ki scripts likhne ke alaava!...uske baad toh directors aur producer s ke liye cheezein aasaan ho jaati hain…phir ve script writers se script likhwaate zaroor hain lekin use nahi karte …unko koi shabd ya paragraph pasand nahi aata…ve vo shabd khud badal lete hain ya usmein zaroori changes kar lete hain…script badal jaati hai…credit lists mein naam badal jaata hai…phir jab tak koi naya show aane waala na ho tab tak use koi ‘hi- hello’ nahi kehta …lekin jaise hi phir koi naya show on air karne ka waqt aata hai use SIR! Kaha jaata hai aur yeh SIRPHIRA itni si baat nahi samajh paata aur phir itraane lag jaata hai….yeh script writer ek aisi kaum hai jo agar kuchh samjhe bhi toh khaamosh rehna hi theek samajhta hai kyonki who apni baat bole bhi toh kisse…sunega kaun?

1 comment:

gaiko said...

"HAM SUNENGE"- Ganesh sir...Channel Id me Voice Over nahi suna aapne...Waise Sir Aapne sahi kaha hai...writers ki koi kimat nahi hai...sirf chehre ki kimat hai...