Monday, December 15, 2008

Office ke reception ka interior laal ho!

Ek nayi magazine ke prakaashan ke shuru hone se pehle iss baat par charcha ho rahi hai ki office ke receptionroom ka interior kaisa hona chahiye. Meeting house of lords ki hai house of commons ki nahi. Isme unhein bulaya gaya hai jike paas bhaari- bharkam yogyata hai…jaise shahar ke sabse bade crime reporter ko…use crime ki achchhi samajh hai, isliye interior ki bhi hogi … Doosra political reporter hai…use politics aati hai …. isliye interior bhi aata hai…aisa maanne ka kaaran bhi hai…wo apne views se kisi ki bhi sarkaar banwa sakta hai…isliye nirmaan ke kaam mein uski poorani maahiri hai …/…crime reporter ne apna sujhaav diya , saara furniture laal rang ka hona chahiye…logon ne poochha kyon? …kyonki laal rang khoon ka rang hai …magazine mein crime ki khabar na ho toh magazine chal nahi sakti …aur crime mein hatya ki khabar na ho toh wo crime apne magazine mein chhapne ke standard ka nahi…chuki hamari magazine ka crime se aur crime ka khoon se gehra sambandh hai. isliye magazine ke interiors ka colour laal hi hona chahiye… Political reporter ne iska samarthan kiya yeh kah kar ki desh ki raajniti left chalaye ya right dono ke laal jahnde ke niche janta ki hi laal honi hai…isliye laal sabse yogya aur important colour hai …so, magazine ke office ka interior toh laal hi hona chahiye….is tarah se yah prastaav poorn bahumat se paas ho gaya…Pass ho jaane ke baad kisi ek ko dhyaan aaya, ‘are, hamare yahaan life style aur interiors aadi cover karne waala bhi toh ek reporter/ sub editor hai….busy time mein apna fengshui aur vaastu gyaan sabko jhaadte rehta hai ( busy time mein isliye kyonki jab wo ye gyaan jhaadta hai toh thoda busy ho jaata hai, vaise wo khaali hi rehta hai…uski na koi nishchit kursi hai na computer…jo kursi thodi der ke liye doosron ne khaali ki , utni der ke liye wo uski ho jaati hai)…so sabne decide kiya, chalo meeting ke baad uski bhi rai jaan lete hain, khush ho jaayega…

No comments: