21st jan 09
Har roj ki tarah mai ghar Se Office ki aur apni bike se ja raha tha...ek signal pe ek bhikhari mere karib aya..yahi 10 -12 sal ka hoga wo., usake hath mai ek thali thi jisme Maa Sherawali ki tasveer thi. chehere pe aise bhav ki kisi ko bhi taras aa jaye...."JAY MATA DI" , Wo bade vyakul swar mai bola...."Uncle kuch do na" aur usane thali aage badhae...
Main bacchoko bheekh dene ke paksha mai bilkul bhi nahi hun, helmet utara aur Gyan dena shuru....
"Abbe teri to .....Itni kam umra mai bheekh mangata hai...kuch kam karo, Padhae karo"
Usane apradh bodh najar se meri aur dekha... Aur dekhta hi reh gaya... mai pareshan ho gaya jab wo meri jeans khichne laga....."sab do na.....pls".... usane fir kaha....
Main dang reh gaya...bheek du ya na du iss peshopash mai pad gaya....aur jab maine apne jeb se 2 rupaye nikale , Wo ja chuka tha.....
2 rupaye ke sikkke ko mai bas dekhta hi reh gaya... aur Signal green ho gaya...helmet pehena aur chal paada........
Waise kal hi maine "Slum dog Millionaire" film dekhi, usame jo mumbai ke baggers ki gatha batai hai wo Ek had tak sahi hai.....
Darasal garibi aur bhukmari ke sarganah hai Rajneta jinki badoulat in bhikariyon ke boss kai garib aur anaath bachonka shoshan karte hai...agar ham inhe paise de to ye paise in bacchon ke Boss ke jariye Aakhir Neta Aur sarkari Aala Afsaron tak pahunch jate hai...aakhir Dhanda ka sawal jo hai......
matlab saaf hai janta ko bhavnaon ke chakrvuyh me fasaya ja raha hai....lekin sawal inn bachon ke bhavishya ka hai jinhe kamai ka sirf ek jariya banakar inka sharirik Aur mansik balatkar kiya jata hai...jiski manzil ya to maut hai ya fir mafia hai.......
Aisho Aaram ke chalte logon ki soch dhundhali ho gayi hai,Ab log Aasan rasta Apnate hai .....wo kehete hai na ki......" Bheekh dete hai yaha par log majboori dekh kar" Aur Maine office aa gaya hun .. kam ka waqt ho chuka hai...chalo bye bye.....
1 comment:
aapke andar samvedna hai...thoda use dhaar dijiye aur ek structure khada karne ke baad ek punch daalna shuru kijiye...roz likhiye aapke liye mushkil nahi. Neta afsaron ke paas jaata hai, mai office aa gaya, connection kya hai?
lekin phir bhi padhna achchha laga
Post a Comment