Friday, January 23, 2009

Slumdog Millionaire se pehle aur baad

Slumdog Millionaire aaj release ho gayi. A.R.Rehman ke music se saji iss film ko Oscar mein 10-10 categories mein namaankan haasil hone se Bhartiyon mein khaasa utsaah dekha ja
raha hai. Utsaah issliye bhi jyaada hai kyonki A.R.Rehman ko kam se kam ek award milna toh lagbhag tai maana ja raha hai. Yeh khush hone ka samay hai hamein khush hona bhi chahiye. Lekin saath hi kuchh sawaal hain jinse hum muh nahi mod sakte.

Kya isse pehle A.R.Rehman ne behtar sangeet nahi diya hai? Kya Slumdog Millionaire mein unhone ab tak ka sarvshreshth sangeet diya hai? Kya Naya Daur ,kagaz ke phool apne daur mein kisi kaagzi antarrashtriya award ke laayak bhi nahi thi? Kya Rang de basanti aur lage raho Munnabhai ko bhi isi tarah se antarrashtriya star par hype nahi milna chahiye tha. Kyon Lagaan jaisi filmon ko iske liye itni mashakkat karni padti hai…aisi filmein kya sirf isliye pichhad jaati rahi hain kyonki inhe Danny Boyle aur Richard Attonbourough jaise kisi angrej ne direct nahi kiya. Satyajit Ray jaisi hasti ko bhi marne ke baad kyon special Oscar jaise aspasht category ke liye award thamaya jaata hai…aur phir halaanki iss par kaafi kuchh kaha ja chuka hai lekin sawaal apni jagah kaayam hai ki Oscar ke laayak Bharat mein garibi ke alawa koi aur subject nahi?
Azaadi se pehle samraajyavaadiyon ne ‘White men’s burden theory’ di thi , jismein maana jaata tha ki Bhartiya apne pair par khade hone laayak nahi hain inhein hamein train karna padega. Kya aisa nahi lagta ki Neo Imperialism ke iss daur mein pashchimi deshon dwara yeh kehne ki koshish ki ja rahi ho ki Indian film Industry mein sambhaavnaayein toh hain lekin unhe sahi dhang se kaise taraasha jaaye wo hum hi behtar tarike se bata sakte hain. …sawaal kai hain…kyon 1994 se bhartiya ladkiyon ke liye Miss Universe aur miss world ka khitab jeetna aasaan ho gaya? Hum sab jaante hain ki Globaligation ke age mein cosmetics industries mein multinational companies ko Bharat ke bazaar ko exploit karna tha…kya yeh sahi nahi ki ab videshi companiyon ka dhyaan bharat ke entertainment bazaar par pada hai

Slumdog Millionaire hi nahihaal hi mein release hui Chandni Chauk to China se lekar aanewaali kam se kam 10 se jyaada filmon mein Warner Brothers jaisi videshi companiyaan apne paise lagaa rahi hain…aur yahi wo tathya hai jiske liye ab bollywood se judi hastiyon ko naam bhi mil raha hai aur daam bhi…varna bhartiya cinema se jude kaabil log pehle bhi they aur aaj bhi hain.

No comments: