Aaiye thoda aanklan karein ki Obama ki taajposhi mein hamaare liye kya achchha hai aur kya bura. Sabse pehle raajnitik drishti se dekhein toh Bush ne Bharat ko jitna khush kiya shaayad hi Obama kar paayein. Unhone toh Mumbai ataack ke baad Bharat ko ek tarah se khuli chhoot de di thi ki Bharat apni surakhsha ke liye jo chaahe wo kar sakta hai. Bharat ne toh samyam dikhaaya lekin America ke iss transition phase ka Israel ne khoob faayda uthaaya. Wahin Obama ki taajposhi ke teen chaar dinon pehle hi Pakistan ko aarthik madad teenguni jyaada dene ki baat keh di gayi. Halaanki unhone yeh bhi kaha ki yeh isspar nirbhar karega ki Pakistan aatankvaad ke mudde par kitna imaandaar hai lekin saath hi Pakistan ke iss stand ka samarthan kiya ki south asia mein aatankvaad ki samasya poori tarah tabhi sulajh sakti hai jab Jammu- Kashmir ka masla hal ho…aur America iss par nazar rakhega. Jabki Bharat ka stand yeh hai ki yeh Bharat ka andruni maamla hai. Isspar kisi ko bhi bolne ka haq nahi hai. Shimla Agreement yahi kehta hai. Bharat ke paksha mein ek baat jaati hai. Unki team mein Sanjay Gupta jaise Bhartiya aur Hillary Clinton jaisi Bharat ke prati jhukaav rakhne waali mahila hai.
Aarthik drishti se dekhein toh Obama ne saaf kar diya hai ki keval ammeron ka bhala soch kar kaam nahi chalnewaala. Mandi se nipatne ke liye ve sakht kadam utha sakte hain. Yaani aam amerikiyon ko rozgaar uplabdh karwaane ke liye wo outsourcing par lagaam lagaa sakte hain. Yeh Bharat ke BPO aur IT sectors ke liye kaafi bure sanket hain.
Samaajik- sanskritik drishti se dekha jaaye toh Obama ne saaf kaha hai sirf taakat se kaam nahi chalega virodhiyon se bhi samvaad karne ki zaroorat hai…Virodhi kaun hain? Ghaur karne waali baat hai…saalon se America ke think tank Samual Huttington aur Fransis Fukuyama rahe hain…jinhone cultural conflict ki theory di hai. Inke anusaar aane waale saalon mein jo sangharsh hoga wo deshon ke beech nahi sabhyata aur barbarta ke beech hoga. Yahaan yeh kehne ki zaroorat nahi yahaan barbar hone ka matlab Islaamic nations aur Islamic thoughts se hai. Yahi vajah hai ki western media Islam ko lagataar terrorism se jodta aa raha hai. Par ab yeh theory shaayad kaam nahi karegi. Obama ne pehli baar Hindu dharm ka bhi naam liya aur kaha sabne milkar America ko banaya hai, isliye America Isaai, muslim, yahudi, Hindu aur yahaan tak ki naastikon ka bhi hai.
Obama democrat hain. Yeh party hamesha se hi Bhartiyon ki swaabhaavik roop se pehli pasand rahi hai. Lekin Bush ne Republican hokar bhi yeh dhaara badal di thi. Apni vidaayi ke samay bhi unhone apni sabse badi uplabdhi Bharat se rishte aur nuclear deal ko maani. Ab dekhna yeh hai ki Obama is dhaara ko naya flow dete hain ya isspar baandh banaate hain.
Wednesday, January 21, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment